Shri Bhairavji ki Aarti |
~~~ |
Jay Bhairav Deva, Prabhu Jay Bhairav Deva, |
Jay Kali Aur Gauradevi Karat Hai Seva. |
Om Jay Bhairav Deva … |
Tumhi Aap Uddhaarak, Dukh Sindhu Taarak, |
Bhakto Ke Sukh Kaarak, Deepak Vasu Dhaarak. |
Om Jay Bhairav Deva … |
Vaahan Shvaan Viraajat, Kar Trishul Dhaari, |
Mahima Amit Tumhaari, Jay Jay Bhayahaari. |
Om Jay Bhairav Deva … |
Tum Bin Devaa Pujan, Safal Nahi Hove, |
Chaturvartika Deepak, Darshak Dukh Khove. |
Om Jay Bhairav Deva … |
Tel Chatik Dadhi Mishrit, Maashaabali Teri, |
Kripa Kijiye Bhairav, Kariye Nahi Deri. |
Om Jay Bhairav Deva … |
Paanv Ghungharoo Baajat, Damaru Damakaavat, |
Batuknath Ban Baalak, Tan-Man Harashaavat. |
Om Jay Bhairav Deva … |
Batuknath Ki Aarati, Jo Koi Jan Gave, |
Kahe Dharanidhar, Man Vaanchit Phal Pave. |
Om Jay Bhairav Deva … |
*** |
|
श्री भैरवजी की आरती |
~~~ |
जय भैरव देवा, प्रभु जय भैरव देवा, |
जय काली और गौरादेवी करत हैं सेवा ॥ |
ॐ जय भैरव देवा …… |
तुम्हीं आप उद्धारक, दुख सिंधु तारक, |
भक्तों के सुख कारक, दीपक वसु धारक ॥ |
ॐ जय भैरव देवा …… |
वाहन श्वान विराजत, कर त्रिशूल धारी, |
महिमा अमित तुम्हारी, जय जय भयहारी ॥ |
ॐ जय भैरव देवा …… |
तुम बिन देवा पूजन, सफल नहीं होवे, |
चतुर्वर्तिका दीपक, दर्शक दुख खोवे ॥ |
ॐ जय भैरव देवा …… |
तेल चटिक दधि मिश्रित, माषाबली तेरी, |
कृपा कीजिए भैरव, करिए नहीं देरी ॥ |
ॐ जय भैरव देवा …… |
पांव घूंघरू बाजत, डमरू डमकावत, |
बटुकनाथ बन बालक, तन-मन हरषावत ॥ |
ॐ जय भैरव देवा …… |
बटुकनाथ की आरती, जो कोई जन गावे, |
कहे धरणीधर, मन वांछित फल पावे ॥ |
ॐ जय भैरव देवा …… |
*** |