Shri Kali Chalisa Lyrics in English PDF |
|| Shri Kali Chalisa || |
|
Jaykaali Kalimalaharan, |
Mahima Agam Apaar, |
Mahish Mardini Kaalika, |
Dehu Abhay Apaar. |
|
Ari Mad Maan Mitaavan Haari, |
Mundamaal Gal Sohat Pyaari. |
Ashtabhuji Sukhdaayak Maata, |
Dushtdalan Jag Me Vikhyaata. |
|
Bhaal Vishaal Mukut Chhavi Chhajei, |
Kar Me Shish Shatru Ka Saajei. |
Dooje Haath Liye Madhu Pyaala, |
Haath Tiisare Sohat Bhaala. |
|
Chauthe Khappar Khadag Kar Paanche, |
Chhathe Trishul Shatru Bal Jaanche. |
Saptam Kar Damakat Asi Pyaari, |
Shobha Adbhut Maat Tumhaari. |
|
Ashtam Kar Bhaktan Var Data, |
Jag Manharan Roop Ye Maata. |
Bhaktan Me Anurakt Bhavaani, |
Nishdin Rate Rishi-Muni Gyaani. |
|
Mahaashakti Ati Prabal Punita, |
Tu Hi Kaali Tu Hi Sita. |
Patit Taarini He Jag Paalak, |
Kalyaani Paapi Kul Ghaalak. |
|
Shesh Suresh Na Paavat Paara, |
Gauri Roop Dharyo Ek Baara. |
Tum Samaan Daata Nahi Dooja, |
Vidhivat Kare Bhaktajan Pooja. |
|
Roop Bhayankar Jab Tum Dhaara, |
Dushtadalan Kinhehu Sanhaara. |
Naam Anekan Maat Tumhaare, |
Bhaktajano Ke Sankat Taare. |
|
Kali Ke Kasht Kaleshan Harani, |
Bhav Bhay Mochan Mangal Karani. |
Mahima Agam Ved Yash Gaavei, |
Naarad Shaarad Paar Na Paavei. |
|
Bhoo Par Bhaar Badhyau Jab Bhaari, |
Tab Tab Tum Prakati Mahtaari. |
Aadi Anaadi Abhay Varadaata, |
Vishvavidit Bhav Sankat Traata. |
|
Kusamay Naam Tumhaarau Linha, |
Usako Sada Abhay Var Dinha. |
Dhyaan Dhare Shruti Shesh Suresha, |
Kaal Roop Lakhi Tumaro Bhesha. |
|
Kaluaa Bhairo Sang Tumhaare, |
Ari Hit Roop Bhayaanak Dhaare. |
Sevak Laangur Rahat Agaari, |
Chauisath Jogan Agyaakaari. |
|
Treta Mein Raghuvar Hit Aai, |
Dashkandhar Ki Sain Nasaai. |
Khela Ran Ka Khel Niraala, |
Bhara Maans-Majja Se Pyaala. |
|
Raudra Roop Lakhi Daanav Bhaage, |
Kiyau Gavan Bhavan Nij Tyaage. |
Tab Esau Taamas Chadh Aayo, |
Svajan Vijan Ko Bhed Bhulaayo. |
|
Ye Baalak Lakhi Shankar Aaye, |
Raah Rok Charanan Me Dhaaye. |
Tab Mukh Jibh Nikar Jo Aai, |
Yahi Roop Prachalit Hai Maai. |
|
Baadhyo Mahishaasur Mad Bhaari, |
Pidit Kiye Sakal Nar-Naari. |
Karun Pukaar Suni Bhaktan Ki, |
Peer Mitaavan Hit Jan-Jan Ki. |
|
Tab Pragati Nij Sain Sameta, |
Naam Pada Maa Mahish Vijeta. |
Shumbh Nishumbh Hane Chhan Maahi, |
Tum Sam Jag Doosar Kou Naahi. |
|
Maan Mathanhaari Khal Dal Ke, |
Sada Sahaayak Bhakt Vikal Ke. |
Deen Vihin Karei Nit Seva, |
Paavei Manvaanchhit Phal Meva. |
|
Sankat Me Jo Sumiran Karahi, |
Unake Kasht Maaatu Tum Harahi. |
Prem Sahit Jo Kirati Gaavei, |
Bhav Bandhan So Mukti Paavei. |
|
Kaali Chaalisa Jo Padhahi, |
Svarglok Binu Bandhan Chadhahi. |
Daya Drishti Herau Jagadamba, |
Kehi Kaaran Maa Kiyau Vilamba. |
|
Karahu Maatu Bhaktan Rakhvaali, |
Jayati Jayati Kaali Kankaali. |
Sevak Deen Anaath Anaari, |
Bhaktibhaav Yuti Sharan Tumhaari. |
|
|| Doha || |
|
Prem Sahit Jo Kare, |
Kaali Chaalisa Paath, |
Tinaki Pooran Kaamana, |
Hoy Sakal Jag Thaath. |