|| DOHA || |
|
Shish nawa arihant ko, sidhan karu pranam. |
Upadhyay acharya ka, le sukhkari naam.sarva sadhu or saraswati, jin mandir sukhkar. |
Mahavir bhagwan ko, man mandir k dhar. |
|
|| chopaai || |
|
Jai Mahavir Dayalu Swami, Veer prabhu tum jag me nami. |
Vardhman he naam tumhara, lage hirday ko pyara pyara. |
Shanti chavi or mohni murat, shan hansili sohni surat. |
Tumne vesh digambar dhara, karm-shatru bhi tum se hara. |
Krodha man aru lobh bhagaya, maha moh tumse dar khaya. |
Tu sarvgya sarva ka gyata, tujhko duniya se kya nata. |
Tujhpe nahi raag or dvesh, veer ran raag tu hitopdesh. |
Tera naam jagat me sachaa, jisko jane bachaa bachaa, |
Bhoot pret tumse bhay khave, vyantar rakshas sab bhag jave. |
Maha vyadh mari na satave, maha vikral kaal dar khave. |
Kala naag hoy fun-dhari,ya ho sher bhayanker bhari. |
Na ho koi bachane wala, swami tumhi karo pratipala. |
Agni dawanal sulag rahi ho, tez hawa se sulag rahi ho. |
Naam tumhara sab dukh khave, aag ek dum thandi hove. |
Hinsamay tha bharat sara, tab tum ne kina nistara. |
Janm liya kundalpur nagri,hui sukhi tab praja sagri, |
Siddharth ji pita tumhare, trishla k aankho k tare. |
Chod sabi jhanjhat sansari, swami hue bal- brahmachari. |
Pacham kaal maha dukhdai, chandanpur mahima dikhlai. |
Tile me atishay dikhlaya, ek gaay ka dudha giraya. |
Soch huwa man me gwale k, pahuncha ek fawda leke. |
Sara tila khod bagaya, tab tumne darshan dikhlaya. |
Jodharaj ko dukh ne ghera, usne naam japa jab tera. |
Thanda hua top ka gola, tab sabne jaikara bola. |
Mantri ne mandir banwaya,raja ne bhi draya lagwaya. |
Badi dharmshala banwai, tumko lane ko thahrai. |
Tumne todi biso gadi, pahiya khaska nahi agadi. |
Gwale ne jo hath lagaya, fir to rath chalto hi paya. |
Pahile din beshaak vadi k, rath jata teer nadi k. |
Mina gujar sab hi aate, naach kud sab chit umgate. |
Swami tumne prem nibhaya, gwale ka bahu man badaya. |
Hath lage gwale ka jab hi, swami rath chalta hai tab hi. |
Meri hai tutti si nayyaa, tum bin koi nahi khivaiya. |
Mujh par swami jara krupa kar, me hu prabhu chakar tumhara. |
Tumse me aru kuch nahi chahu, janm janm darshan paau. |
chalisa ko chadra banave, beer prabhu ko shish navave…. |
|
|| SORTHA || |
|
NEET CHALISHI BAAR, PATH KARE CHALIS DIN. |
KHEY SUNGANDHA APAAR, VARDHMAN K SAMNE. |
HOVE KUBER SAMAN, JANM DARIDRI HOYE JO. |
JISKE NAHI SANTAN, NAAM VANSH JAG ME CHALE… |